TASKHEER E HAMZAD QURANI IN 21 DAYS
Ye amal andheray me kia jata he, rat ke waqt kisi tanha kamra me karna hoga, qibla rukh beth kar. roshni bilkul na ho, ankhain khuli rakhni hon gi or khuli ankhon se andhery me hamzad ka tasawar rakhain ke samnay mojood he. bawuzoo ho kar shuroo karain. amal keliy koi pak saf libas muntakhib kia jay or sirf amal ke waqt pehna jay. libas qimti or fakhra na ho. doran e amal khusboo ka istimal rahay kamra khushboo se muatar rahay or parhty waqt hamzad ka koi bhi bakhoor sulgain. parhez sirf or sirf sharai mamnooat or makroohat se he, jo marzi khain piyen, bas yad rahay ke shariyat ka haram haram he or shariyat ka halal halal he. bas badboo dar ashiya or nasha awar ashiya se parhez karain koi parhez e jilali ya jamali karnay ki zuroorat nahin. rozana 2100 bar wird karain magar awaz itni oonchi ho ke khood ko sunai day. ankhen andhairy me markooz rakhen ke hamzad smnay mojood he or ap usay keh rahay hain amal ye he.
یا فلاں اُحْضُرُ اُحضُرُ بِحِقِ رُوْحُ الْاَ مِیْنْ
falaan ki jaga apna nam lagaya jay, hamzad 21 yom me hazir hoga agar Allah na karay hamzad hazir na ho to doobara or seh baara bhi karain hargiz hargiz nakam nahin hon gay, istqlal shart he, mashoor badshah temoor se kisi ne poocha ke tumhari kamyabi ka raz kia he to us ne kaha ke me ne ek ghaar me ye chiyoonti se sikha tha woh diwar pe charhti or gir jati bar bar nakam hoti rahi magar us ne himat na hari or akhir kaar kamyab ho gai, taskhir e hamzad ek bahot bari kamyabi he, Allah ki bahot barri nemat he jim e latif, or isay panay keliy jitni bhi mehnat ki jay bahot kam he, aj insan ye chahta he ke hamzad jesi quwat bhi bas chand rat ke amal se mil jay to esa hona bahot mushkil he qk me ne tafsilan byan kia ke kis tarah ke amlyat jald kamyab kar sakty hain or un me jo khatrat chupay hain woh bhi byan kar diy, meri zati ray me taskhir e hamzad qurani amal se hi ki jay qk ek to us me hamzad hi hazir hota he dusra us me kuch gunah nahin or teesra parhez na honay ke barabar or sab se ehm bat ke nuqsan ka matliqan khadsha nahin. Ab aata hoon is amal ki sehat ki taraf ke ye amal kis qadar mooasar he, to ap sab log jo amliat se shaghf rakhty hain ye bakhoobi janty hain ke amilin or aam log bhi ba muakil amal ki talash me rehty hain or ye bhi nahi janty ke unho ne istakhraj se jis muakil ka nam nikala he wo koi muqarib muakil he ke nahin, magr ye amal ba muakil bhi he or muakil bhi rooh ul amin, yeni Hazrat Jibrail A.S jin k 6000 sirf par hain or har par zamin se bhi hujam me barh kar he woh farishta jo Allah ne sirf or sirf peghambaron ke pas bheja Quarn e majid me is farishtaa ki kai maqat pe tehsin biyan hui. bas pa band e shariyat hon or Allah ke kalam ka asar dekhain. Dua he ke Allah ap ko kamyab farmay Amin.
No comments:
Post a Comment